Top SMS


 Ads


 Vote

Which Type of SMS you like?

Islamic
Funny
Cool
Sardar
Phatan
Decent
Poetry
Adult



Dard ke phool

yasir101 Sad SMS (0) 23 May 2009
Dard ke phool bhi khilte hain bikhar jate hain
Zakhm kaise bhi hon kuch roz mein bhar jate hain

Us dareeche mein bhi ab koi nahi aur hum bhi
sir jhukaye hue chup chaap guzar jate hain

Raasta roke khari hai yahi uljhan kub se
Koi pooche tu kahein kya ke kidhar jate hain

Narm awaz bhali baatein muhazzab lehje
Pehli barish mein hi yeh rung utar jate hain

Dard ke phool bhi khilte hain bikhar jate hain
Zakhm kaise bhi hon kuch roz mein bhar jate hain



Awesome Funny Pictures

Never Seen Before

www.Pring.co.tv Awesome Funny Pictures

Never Seen Before

www.Pring.co.tv

Khasmosh say lab ankhoon

yasir101 Sad SMS (0) 23 May 2009
Khasmosh say lab ankhoon main nami hoti hai
Teri yaad jo aati hai to kuch aaisi aada hoti hai

Ankhoon ko band kar k us ko main sochoon to
Khamosh andharay main bas uski nigaah hoti hai

Ab ya duniya meri muha veeran si lagti hai
Khushboo teri na hoti hai na teri sada hoti hai

Jis desh bhi jao tum woh desh tumhara ho
Ab haath jo uthta hain to yahi dua hoti hai…!!



Tujhe bhoolne ki koshish mein

yasir101 Sad SMS (0) 23 May 2009
Tujhe bhoolne ki koshish mein,
Jab dil ye zid pe aa gaya,
Main aankh moond ke baith gaya,
Tu khayaal pe phir chaa gayi…
Ye dhadkan kahin ruk jaaye naa,
Meri nabz Thehr naa jaaye kahin,
Tune Waqt kiya mera lamha lamha,
Magar maut ko aasaan bana gayi…
Meri har daleel ko kiya ansuni,
Meri fariyaad bhi to suni nahin,
Main Hairaan hu, haa Kuch Pareshaan hu,
Aisa Faislaa tu mujhe suna gayi…
Mujhe chaand ki kabhi talab na thi,
Mujhe suraj ki bhi fikar nahi,
Bas aankh kholna hi chahte the ham,
Magar Tu roshni hi bujha gayi…
Beshak bhoolna tujhe chaha bahut,
Hans kar kabhi, ro kar kabhi,
De kar ye aansuon ki saugaat mujhe,
Tu daaman apna bacha gayi



Awesome Funny Pictures

Never Seen Before

www.Pring.co.tv

Talaash karna hi chor diya

yasir101 Sad SMS (0) 23 May 2009
Hum ne kisi ki yaad main rona hi chor diya
Apni Zindagi ko talaash karna hi chor diya

Sab beeti hui baatein bhula di hum ne
Ab Dil main maazi basana chor diya

Kaanton se bhar dete hain log daaman
Hum ne Aangan main Phool khilana hi chor diya

Kabhi na maangen ga kisi se bheek Mohabbat ki
Is hi liye hum ne Pyaar karna hi chor diya

zindagi teri rah main shab-e-arzo teri chah may
jo ojar gaya wo basa nahi jo bichar gaya wo mila nahi

jo dil-o-nazar ka suroor tha meray paas reh kay bhi door tha
wahi aik gulaab umeed ka meri shakh-e- jaan pay khila nahi



Yun Na Mil Mujhse Khafa Hou Jaisay

yasir101 Sad SMS (0) 23 May 2009
Yun Na Mil Mujhse Khafa Hou Jaisay
Sath ChaL Mauj-e-Saba Hou Jaisay

Laug Yun Dekh Kar Hans Detay Hain
Tu Mujhay BhooL Gayee Hou Jaisay

Ishq Ko ShirK Ki Hudh Tak Na Bharha
Yun Na MiL Hum Se KHUDA Hou Jaisay

MauT Bhi Aaye Tu Es NaaZ Ke Sath
Mujh Pe Ehsaan Kya Hou Jaisay

Aisay AnjaaN Banay Bethay Hou
TumKo Kuch Bhi Na PaTa Hou Jaisay

HichKiyaan RaaT Ko AaTi Hi RaheiN
TuM Ne Phir YaaD Kya Hou Jaisay

ZindaGi BheeT Rahi Hai Aisay
Ek BaeJurM SaZa Hou Jaisay …



Aj us ki yaad

yasir101 Sad SMS (0) 23 May 2009
Aj us ki yaad na hamain tarpaya buht
Aj na chahtay huay bhi wo yaad aae buht
Us k baad to jaisay weshatoon s doosti ho gaye
Phir kyun tanhayion ny aaj daraya buht
W0 meri the Meri hai Meri rahayge
Yah soch k dil ko behlaya buht
Shama k jalnay pay afsoos karain kyun
Hum ny jis kisi ko bhi hamdard samjha
wo najanay kyun hamary dard pay muskuraya buht.



Awesome Funny Pictures

Never Seen Before

www.Pring.co.tv Awesome Funny Pictures

Never Seen Before

www.Pring.co.tv

Yeh kis tazabazab mein

yasir101 Sad SMS (0) 23 May 2009
Yeh kis tazabazab mein parh gayi hun
Safar k imkan sochti hun
Yeh shaam shaid meri udasi mein dhal rahi hai
K dil ki ro he badal rahi hai
Yeh ab khula hai
Tumhare lehje mein jo khushi thi, wo mein nahin thi
Jo mere chehre pe roshni thi meri nahin thi
K mere aanchal mein reshmi taar kam the
Mere labas mein zardiyan numayan
Yeh ab khula hai
K mere khawabon ki titliyan to
Wisal ki awaleen rut he khizaon ki nazar ho gai thin
Firaaq saman tha wasal mera
To mere lehje mein aainay ki shikastagi thi
Yeh shaam shaid kabhi phir aaye
Tumhein bulaye
To mere haq mein bus itna kehna
“Wo sada dil udas larki
Yehin kahin per mujhe mili thi”…!!!



 Login


Register!
Forgot Password?

 Friends


Online

 Friends

Best SMS
Study Cafe
Daily SEO Tips
I Am Joker
Feel Pakistan
Free Graphics (best)

Add Your Site